Sub Categories

Kabhi pehli bar skul jane me dar
lgta tha
aaj akele hi duniya ghum lete hain
Pehle 1st aane ke liye padhte the
aaj paison ke liye padhte hain
Kabhi chhoti si chot par ro dete
the
aaj dil tut jaye to bhi sambhal jate
hain
Pehle hum doston ke sath rehte
the
aaj dost bas yadon me rehte hain
Pehle ladna manana roj ka kaam
tha
aaj ek bar juda hue toh rishte kho
jate hain
Sach me zindgi ne bht kuchh
sikha diya na jane kab hume itna
bda bna diya…

Loading views...



आज ऊँगली थाम ले मेरी,
तुझे मैं चलना सिखलाऊँ ,
कल हाथ पकड़ना मेरा,
जब मैं बुढा हो जाऊं …!!

Loading views...

Meri zindagi mujhe yeh bata,
Mujhe bhul kr tujhe kya mila.?
Meri hasrato ka hisaab de,
Dil tor kar tujhe kya mila….?
Tere chaar din ke pyaar se,
Mujhe umar bhar ka gum mila
Main toot kar bikhar gaya,
Mujhe tor kr tujhe kya mila..??

Loading views...

Badi mushkil se bane hu toot jane ke baad,
Mai aaj bhi ro deti hu muskurane ke baad,
Tujhse mohabbat thi mujhe beintiha,
Lekin aksar ye mehsus hua tere jane ke baad,
Ab tak dhundh rahe hu apne andar ke us shaks ko,
Jo nazar se kho gaya hai nazar aane ke baad.

Loading views...


Saza Katne Ke Baad Bhi Mujhe Rihaai Na Mili,
Dhoke, Fareb Mile Duniya Mai, Sachchai Na Mili…
Sab Ko Maloom Tha Meri Begunahi Ka,
Mujhe Safai Ke Liye Koi Gawahi Na Mili…
Jab DiL Ghabraya Duniya Ke Shor-o-Ghul Se,
Bohat Talaash Ki Magar Kahin Tanhai Na Mili…
Kaise Basar Karte Hain Zindagi Wo Log,
Jin Ko Duniya Dekhne Ke Liye Bhi Na Mili…
Jis Se Wafa Karte The Apna Samajh Kar,
Usse Bhi Ilzaam Mila Koi Achchai Na Mili…!

Loading views...

Hamari rooh me na samaye hote to bhool jate tumhe
Itna kareeb na aaye hote to bhool jate tumhe.,
Ye kahtey hue ki mera talluk nahin tumse koyi,
Ankhon mein aansu na aaye hote to bhul jate tumhe.

Loading views...


Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara,
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein
Mera Sahara,
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt
Guzra,
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut
Ko Pukara,

Loading views...


Us Se Juda To Ho Gye Par Yun Laga Mujhe
Jaise Jahan Main Koi Apna Nahi Raha
Wo Bewafa Nahi Magar Itna Zaroor Hai
Pehle Wo Jis Tarha Ka Tha Wesa Nhi Raha…

Loading views...

Kuch Or Sochne Ki Zaroorat Nahi Mujhe,
Tere Siva Kisi Se Mohabbat Nahi Mujhe…!!
Tu Hi Rehta Hai Hmesha Mere Dil Or Dimag Me,
Jise Pyaar Kru Use Bhool Jane Ki Aadat Nahi Muje..!!!
Teri Yaad Aati Hai To Aankh Bhar Hi Aati Hai,
Varna Her Bat Par Yun Rone Ki Aadat Nahi Mujhe..!!!
Kise Sunau Jakar Mai Haal Apne Dil Ka..?
Tune To Keh Diya Fursat Nahi Mujhe..!!!

Loading views...

Jisne kabhi chahton ka paigaam likha tha,
Jisne apna sab kuch mere naam likha tha,
Suna hai aaj use mere zikr se bhi nafrat hai,
Jisne kabhi apne dil par mera naam likha tha.

Loading views...


Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din,
kya roz garajty ho,barass jao kisi din.
Raazon ki tarah utro mere dil me kisi shab,
dasak pe mere haath ki khul jao kisi din.
perun ki tarah husn ki barish me naha lon,
badal ki tarah jhoom k aao kisi din .
khushbo ki tarah guzro mere dil ki gali se,
pholon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din.
phir haath ki khairat mile band qaba ko,
phir lutf sabhe wasal ko duhrao kisi din.
Guzrain jo mere ghar se to ruk jaen sitaare,
iss tarah meri raat ko chamkaao kisi din.
main apni har saans uss raat ko de don,
Sarr rakh k seene pe mere Soo jao kisi din…

Loading views...


Baadshah Tere Asaab Pe Taari Main Thi,
Wo Bhi Din Thay K Teri RaaJ-kumaari Main Thi.
Ye Bhi Such Hai K Mujhe Maar Diya Hai Tu Ne,
Ye Bhi Such Hai Ke Tujhe Jaan Se Piyaari Main Thi.
Saari Duniya Ko Pata Hai K Tum Mere Ho,
Saari Duniya Ko Pata Hai Tumhaari Main Thi.
Dard Kab Tha Wo Tere Dil Mein Janoo’n Tha Mera,
Ashq Kab Thay Wo Teri Aankh Se Jaari Main Thi.
Ab To IK Jism Hoon Jiss Mein Koi Dharkan Hai Na Dil,
Kabhi Saanso’n Ki Tarha Jaari-0-Saari Main Thi.
Mujh Ko Duniya Ne Baantna Chaaha Lekin,
Jiss Taraf Dil Tha Udhar Saari Ki Saari Main Thi.

Loading views...

Pagal wo kar deti hogi…
Ab bhi jab wo hansti hogi…
Mujh ko to barbad kiya hai…
Khud bhi shayed roti hogi…
Arsa beeta hai bin dekhe…
Jane ab wo kaisi hogi…
Us k hath ki rekhaon mein…
Ik rekha meri bhi hogi…
Jis din us se milna hoga…
Shaam bhi us k jaisi hogi…
Dulhan ban kar wo is dil mein…
Socho kaisi lagti hogi…
Jin hathon ko main ne chooma…
Un ko ab tak takti hogi…
Sun kar mera naam wo shayed…
Mujh ko yaad to karti hogi…
Arsa beeta hai bin dekhe…
Jane ab wo kaisi hogi Kaisi hogi

Loading views...


Dukh Day Kar
Sawaal Karty Ho___??
Tum Bhi Zalim
Kamaal Karty Ho___!!
Dekh Kar Pooch
Liya Haal Mera___!!
Chalo Kuch To Khayal Karty Ho___!!
Shehr_e_Dil Mein Udaasiyan Kaisi___??
Ye Bhi Mujh Se
Sawaal Karty Ho___!!
Marna Chaahain To Marr Nahi Saktey___!!
Tum Bhi Jeena
Muhaal Karty Ho___!!
Ab Main Kis Kis Ki Misaal
Doon Tum Ko___??
Har Sitam
Be’misaal Karty Ho___!

Loading views...

Paas Aa Zara Dil Ki Baat Btaun Tujhko,
Kese Dharkta Ha Dil Awaz Sunau Tujhko,
Aakar Tu Dekh Le Dil Pe Likha H Nam Tera
Agr Kahe To Dil Cheer Ke Dikhaun Tujko.
Jitna Jalaya Hai Tune Pyar Me Mujhko,
Dil To Krta Hai Mein B Jalaun Tujhko
Ajnabi Hota Toh Aisa Kar Bhi Lete,
Mgr Tum To Apne Ho Kese Sataun Tujhko

Loading views...

Pyaar kya hota hai hum nahi jaante
Zindagi ko hum apna nhi maante
Gham itne mile ki ehsaas nahi hota
Koi hamein pyaar kare ab vishwas nahi hota

Loading views...