~Ek Wo Jo Nazar Andaaz Karte Hain Mujh Ko,
Ek Hum Hain Ke Dil’O-Jaan Se Deewane Un Ke ..’
Sub Categories
~Ek Yeh Khawahish Hai Ke Koi,
Zakham Na Dekhey Iss Dil Ke,
Aur Ek Yeh Hasrat Hai Ke Kaash,
Koi Isse Dekhne Wala Hota .. ‘
~Kab Laut Ke Aao Gy Bata Q Nhi Dete ?
Deewar Bahano Ki Gira Q Nhi Dete ?
Tum Paas Ho Mere Tow Pata Q Nhi Chalta ?
Tum Door Ho Mujh Se Tow Sada Q Nhi Dete ?
Ek Tere Siwa Aur Kisi Ko Bhi Na Chaha ..
Ye Baat Zamane Ko Bata Q Nhi Dete ?
Raaton Ko Jaagny Ki Saza Dete Ho Aksar ..
Tum Hum Ko Wafaon Ka Sila Q Nhi Dete ?
~Tumko De Di Hai Isharoo’N Mein
Ijaazat Maine,
Maang’Ne Se Na Miloo’N Agar Toh Chura Lo Mujhko ..’
~Lagtii Hain Jinke Dil Par Woh Aankho Se Nahi Rote,
Jo Apno Ke Hi Naa Ho Paye Wo Kisii Ke Nahii Hote ..’
~Jaate Hue Wo Bas Itna Hi Keh Gya Paagal Jeena Sikh Lo Ab
Wese Pyaar Accha Kar Leti Ho ..’
~Uss Mor Se Shuru Karain Aa
Phir Se Zindagi,
Jab Har Sham Haseen Thi Or Hum-Tum The Ajnabii .. ‘
~Sham Hote Hi Chiraghon Ko Bhuja Deti Hoon,
Dil Hi Kaafi Hay Teri Yaad Main Jalne K Liye .. ‘
~Izhar’E-Ishq Me Aiisa Hua Kuch Wo,
Dil Ka Haqdaar To Hua Lekin Mera Naa Hua .. ‘
~Tere Baad Kon Roky’Ga Humein,
Hum Khud Ko Jee Bhar k Barbaad Karein’Gy .. ‘
~Thoda Thoda Kar K Humne Bahut Kuch Seekh Liiya,
Jitna Jyada Pyar Karogy Utna Jyada Dard Milega .. ‘
~Kabhi Toota Nahi Mere Dil Se,
Us Ki Yaad Ka Rishta,
Guftagu Jis Se Bhi Ho,
Khayaal Us Ka Hi Rehta Hy .. ‘
~Bari Gustakhiyan Karne Laga Hay,
Ye Dil Mujh Se,
Ye Jab Se Tera Huwa Hy Meri Sunta Hi Nahi .. ‘
~Kabhii Aaye Ga Use Bhi Mera Khayal,
Shayad Yeh Bhi Mera Khayal Hy .. ‘
~Hasrat’E-Deedar Bhii Kya Cheez Hyy,
Wo Samne Aye To Musalsal Dekha Bhi Nahi Jata .. ‘
~Nahi Haii Meri Fitrat Mein Yeh Adaat,
Warna Teri Tarah Badlna Mujhe Bhii Aata Haii .. ‘